Qaside Le Ke Sare Shaukat-e-darbar Tak Aae
qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae
hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aae
wo tapti dhup se jab saya-e-diwar tak aae
to jati dhup ke manzar lab-e-izhaar tak aae
wo jis ko dekhne ek bhiD umDi thi sar-e-maqtal
usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae
tarab-zadon ki raaten husn se aabaad rahti thin
suKHan-zade to bas zikr-e-lab-o-ruKHsar tak aae
zamin ke hath par hai aasman ye kya maqam aaya
ye kis imkan bhari duniya ke hum aasar tak aae
ana ke gumbadon mein jin ka fan gunja kiya barson
hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aae
(1211) Peoples Rate This