Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi
main ne kab barq-e-tapan mauj-e-bala mangi thi
gungunati hui sawan ki ghaTa mangi thi
dasht-o-sahra se guzarti hui tanhai ne
raste bhar ke liye us ki sada mangi thi
wo tha dushman mera haara to bahut zaKHmi tha
main ne hi us ke liye shaKH-e-hina mangi thi
saeban dhup ka kyun sar pe mere tan diya
ai KHuda main ne to baadal ki rida mangi thi
shaKH se TuTte patton ki tarah main ne bhi
mausam-e-gul tere aane ki dua mangi thi
meri uryani ko kafi thi teri parchhain
main ne kab chand-sitaron ki qaba mangi thi
shahr-e-dilli se hamein aur to kya lena tha
apni sanson ke liye taza hawa mangi thi
(1208) Peoples Rate This