Koi Chehra Na Sada Koi Na Paikar Hoga
koi chehra na sada koi na paikar hoga
wo jo bichhDega to badla hua manzar hoga
be-shajar shahr mein ghar us ka kahan tak DhunDen
wo jo kahta tha ki aangan mein sanobar hoga
apne sab KHwab na yun aankh mein le kar niklo
dhup hogi to kisi hath mein patthar hoga
hum se kahta tha ye nadida zaminon ka safar
kahin sahra to kahin nila samundar hoga
us ne kuchh bhi na liya hum se zar-e-gul ke ewaz
wo kisi phul ki basti ka tawangar hoga
hum agar hote use saya-e-gul mein rakhte
jis ne dhupon mein jalaya wo sitamgar hoga
jism ki aag mera nam bachae rakhna
ab ke sunte hain ki barfila december hoga
(1301) Peoples Rate This