Kai KoThe ChaDhega Wo Kai Zinon Se Utrega
kai koThe chaDhega wo kai zinon se utrega
badan ki aag le kar shab gae phir ghar ko lauTega
guzarti shab ke honTon par koi be-saKHta bosa
phir is ke baad to suraj baDi tezi se chamkega
hamari bastiyon par dur tak umDa hua baadal
hawa ka ruKH agar badla to sahraon pe barsega
ghazab ki dhaar thi ek saeban sabit na rah paya
hamein ye zom tha barish mein apna sar na bhigega
main us mahfil ki raushan saaton ko chhoD kar gum hun
ab itni raat ko darwaza apna kaun kholega
mere chaaron taraf phaili hai harf-o-saut ki duniya
tumhaara is tarah milna kahani ban ke phailega
purane log dariyaon mein neki Dal aate the
hamare daur ka insan neki kar ke chiKHega
(1221) Peoples Rate This