Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_12c1551dffbde56fc1982e3f0790c217, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li - Zubair Rizvi Poetry In English - Darsaal

Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li

kabhi KHirad se kabhi dil se dosti kar li

na puchh kaise basar hum ne zindagi kar li

andheri raat ka manzar bhi KHub tha lekin

tum aa gae to charaghon mein raushni kar li

tumhaara jism hai jaDon ka sard sannaTa

hararton se kahan tum ne dosti kar li

huzur-e-dost ajab hadisa hua yaro

har ek harf-e-shikayat ne KHud-kushi kar li

liye phire hain bahut tum ko dil ki galiyon mein

is ek baat pe duniya ne dushmani kar li

har ek moD pe KHanjar-ba-kaf thi tanhai

gharib-e-shahr ne ghabra ke KHud-kushi kar li

(1360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Kabhi KHirad Se Kabhi Dil Se Dosti Kar Li in PDF.