Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-o-qasam Ka Sachcha Tha

hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha

aapas mein bas ek purana TuTa-phuTa rishta tha

dil ki diwaron pe hum ne aaj bhi silan dekhi hai

jaane kab aankhen roi thin jaane kab baadal barsa tha

KHwab-nagar tak aate aate TuT gae hum jaise log

unchi nichi rah bahut thi sara rasta kachcha tha

pura baadal puri barish mausam pure zor pe tha

sab ke saron pe chhat rakkhi thi main hi akela bhiga tha

apni zat ke sare KHufiya raste us par khol diye

jaane kis aalam mein us ne haal hamara puchha tha

us ka milna dhul-bhare mausam mein bundon jaisa tha

sabza ban kar phuT raha hai jo bhi andar sukha tha

us ki yaad ke sare miThe phal toton ne katar liye

yun to hum ne chaaron kone shor machae rakkha tha

(1460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-o-qasam Ka Sachcha Tha In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-o-qasam Ka Sachcha Tha is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-o-qasam Ka Sachcha Tha for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Hum Donon Mein Koi Na Apne Qaul-o-qasam Ka Sachcha Tha in PDF.