Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe

hum bichhaD ke tum se baadal ki tarah rote rahe

thak gae to KHwab ki dahliz par sote rahe

log lahje ka suhana-pan suKHan ki naghmagi

shahr ki aabaadiyon ke shor mein khote rahe

kyun mata-e-dil ke luT jaane ka koi gham kare

shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe

surKHiyan aKHbar ki galiyon mein ghul karti rahin

log apne band kamron mein paDe sote rahe

mahfilon mein hum rafiq-e-raaz-dan samjhe gae

ghar ke aangan mein magar tanhaiyan bote rahe

(1339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe in PDF.