Hum BichhaD Ke Tum Se Baadal Ki Tarah Rote Rahe
hum bichhaD ke tum se baadal ki tarah rote rahe
thak gae to KHwab ki dahliz par sote rahe
zindagi ne hath se KHanjar na rakha ek pal
hum qatil-e-ghamza-o-naz-e-butan hote rahe
lok lahje ka suhana-pan suKHan ki naghmagi
shahr ki aabaadiyon ke shor mein khote rahe
kyun mata-e-dil ke luT jaane ka koi gham kare
shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe
surKHiyan aKHbar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein paDe sote rahe
mahfilon mein hum rafiq-o-raaz-dan samjhe gae
ghar ke aangan mein magar tanhaiyan bote rahe
(1293) Peoples Rate This