Hum Baad-e-saba Le Ke Jab Ghar Se Nikalte The
hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the
har rah mein rukte the har dar pe Thaharte the
virana koi hum se dekha nahin jata tha
diwar uThate the darwaze badalte the
aawara se hum laDke raaton ko phira karte
hum sarw charaghan the chaurahon pe jalte the
ye KHak-e-jahan un ke qadmon se lipaT jati
jo rah ke kanTon ko chunte hue chalte the
ek sham sar-e-mahfil hum ne bhi use dekha
ye sach hai un aankhon mein mai-KHane machalte the
(1121) Peoples Rate This