Hawa Ki Andhi Panahon Mein Mat Uchhaal Mujhe

hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe

zamin hisar-e-kashish se na tu nikal mujhe

siwa-e-ranj-e-nadamat na kuchh mila tum ko

main kah raha tha banao na tum misal mujhe

shikast-e-dil ne ajab gham ko suraten di hain

rafaqaton ki ghaDi hai zara sambhaal mujhe

main KHwab KHwab jaziron ki sair ko niklun

uTha ke parda-e-shab hairaton mein Dal mujhe

kabhi kabhi use dil se aziz-tar jaana

ye sar jo dosh pe lagta raha wabaal mujhe

zamin main teri chahat mein zer-e-dam aaya

asir kar nahin paya tha koi jal mujhe

bayaz-e-waqt pe us ne likha hai nam mera

yaqin kar ki na hoga kabhi zawal mujhe

suKHan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun

ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe

(1585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ki Andhi Panahon Mein Mat Uchhaal Mujhe In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Hawa Ki Andhi Panahon Mein Mat Uchhaal Mujhe is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Hawa Ki Andhi Panahon Mein Mat Uchhaal Mujhe for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Hawa Ki Andhi Panahon Mein Mat Uchhaal Mujhe in PDF.