Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c0ebbcdd7ada8bedd71739e5bdb2ae1d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai - Zubair Rizvi Poetry In English - Darsaal

Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai

hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai

kahin pe subh hui aur kahin pe sham aai

giran guzarne laga tha sukut-e-mai-KHana

bahut dinon mein sada-e-shikast-e-jam aai

kahan pe TuTa tha rabt-e-kalam yaad nahin

hayat dur talak hum se ham-kalam aai

kisi ko tera tabassum mila kisi ko ada

hamare nam teri sohbaton ki sham aai

wahin pe barsa hai baadal jahan hawa ne kaha

hamari chhat pe to barish barae-nam aai

(1216) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Hamari Gardish-e-pa Raston Ke Kaam Aai in PDF.