Ghurub-e-sham Hi Se KHud Ko Yun Mahsus Karta Hun

ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

ki jaise ek diya hun aur hawa ki zad pe rakkha hun

chamakti dhup tum apne hi daman mein na bhar lena

main sari raat peDon ki tarah barish mein bhiga hun

ye kis aawaz ka bosa mere honTon pe kanpa hai

main pichhli sab sadaon ki halawat bhul baiTha hun

bichhaD ke tum se main ne bhi koi sathi nahin DhunDa

hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun

koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jae

tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun

main gir ke TuT jaun ya koi mehrab mil jae

na jaane kab se hathon mein khilauna ban ke jita hun

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurub-e-sham Hi Se KHud Ko Yun Mahsus Karta Hun In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Ghurub-e-sham Hi Se KHud Ko Yun Mahsus Karta Hun is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Ghurub-e-sham Hi Se KHud Ko Yun Mahsus Karta Hun for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Ghurub-e-sham Hi Se KHud Ko Yun Mahsus Karta Hun in PDF.