Dil Ke Tatar Mein Yaadon Ke Ab Aahu Bhi Nahin
dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin
aaina mange jo hum se wo pari-ru bhi nahin
dasht-e-tanhai mein aawaz ke ghungru bhi nahin
aur aisa bhi ki sannaTe ka jadu bhi nahin
zindagi jin ki rifaqat pe bahut nazan thi
un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin
chahte hain rah-e-mai-KHana na qadmon ko mile
lekin is shoKHi-e-raftar pe qabu bhi nahin
talKHiyan nim ke patton ki mili hain har su
ye mera shahr kisi phul ki KHushbu bhi nahin
jaane kya soch ke hum ruk gae viranon mein
partaw-e-ruKH bhi nahin saya-e-gesu bhi nahin
husn-e-imroz ko tashbihon mein taulen kaise
ab wo pahle se KHam-e-kakul-o-abru bhi nahin
hum ne pai hai un ashaar pe bhi dad 'zubair'
jin mein us shoKH ki tarif ke pahlu bhi nahin
(1068) Peoples Rate This