BichhaDte Damanon Mein Phul Ki Kuchh Pattiyan Rakh Do

bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do

talluq ki giranbari mein thoDi narmiyan rakh do

bhaTak jati hain tum se dur chehron ke taaqub mein

jo tum chaho meri aankhon pe apni ungliyan rakh do

baraste baadalon se ghar ka aangan Dub to jae

abhi kuchh der kaghaz ki bani ye kashtiyan rakh do

dhuan cigarette ka botal ka nasha sab dushman-e-jaan hain

koi kahta hai apne hath se ye talKHiyan rakh do

bahut achchha hai yaro mahfilon mein TuT kar milna

koi baDhti hui duri bhi apne darmiyan rakh do

nuqush-e-KHal-o-KHad mein dil-nawazi ki ada kam hai

hijab-amez aankhon mein bhi thoDi shoKHiyan rakh do

hamin par KHatm kyun ho dastan-e-KHana-virani

jo ghar sahra nazar aae to us mein bijliyan rakh do

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhaDte Damanon Mein Phul Ki Kuchh Pattiyan Rakh Do In English By Famous Poet Zubair Rizvi. BichhaDte Damanon Mein Phul Ki Kuchh Pattiyan Rakh Do is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem BichhaDte Damanon Mein Phul Ki Kuchh Pattiyan Rakh Do for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download BichhaDte Damanon Mein Phul Ki Kuchh Pattiyan Rakh Do in PDF.