Nazar Nazar Se Milaoge Mare Jaoge

nazar nazar se milaoge mare jaoge

ziyaada bojh uThaoge mare jaoge

koi nahin hai yahan e'tibar ke qabil

kisi ko raaz bataoge mare jaoge

har ek shaKH pe chhiDka hua hai zahr yahan

shajar ko hath lagaoge mare jaoge

jo kandhe par ho wo gardan utar leta hai

kisi ko uncha uThaoge mare jaoge

har ek aaina manzar juda banata hai

nazar ka bojh uThaoge mare jaoge

dhuen mein milna muqaddar hai in lakiron ka

hawa mein naqsh banaoge mare jaoge

ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar'

koi sawal uThaoge mare jaoge

(1680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Nazar Se Milaoge Mare Jaoge In English By Famous Poet Zubair Qaisar. Nazar Nazar Se Milaoge Mare Jaoge is written by Zubair Qaisar. Read famous Poem Nazar Nazar Se Milaoge Mare Jaoge for youth and Student by Zubair Qaisar. Free Download Nazar Nazar Se Milaoge Mare Jaoge in PDF.