Saf Aaina Hai Kyun Mujhe Dhundla Dikhai De
saf aaina hai kyun mujhe dhundla dikhai de
gar aks hai ye mera to mujh sa dikhai de
mujh ko to mar Dalega mera akela-pan
is bhiD mein koi to shanasa dikhai de
barbaad mujh ko dekhna chahe har ek aankh
mil kar rahunga KHak mein aisa dikhai de
ye aasman pe dhund si chhai hui hai kya
gar abr hai to hum ko barasta dikhai de
ye mujh ko kis maqam pe le aai zindagi
ya rab koi farar ka rasta dikhai de
'faruq' dil ka haal main ja kar kise kahun
har chehra mujh ko apna hi chehra dikhai de
(2089) Peoples Rate This