Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_29c19eff69f5e842b73834e0c2f41834, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna - Zubair Farooq Poetry In English - Darsaal

Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna

aankhon mein hai basa hua tufan dekhna

nikle hain dil se yun mere arman dekhna

bhula hun jis ke waste main apne aap ko

wo bhi hai mere haal se anjaan dekhna

dekha jo muskuraate hue aaj un ko phir

raushan hua hai jine ka imkan dekhna

hai harf harf zaKHm ki surat khila hua

fursat mile to tum mera diwan dekhna

chaaron taraf hai phaila hua sabza-zar sa

baadal ka hai zamin par ehsan dekhna

aankhon mein ashk lab pe fughan dil figar sa

rah-e-wafa mein jine ka saman dekhna

chalta hun ehtiyat se 'faruq' is liye

kar lun na phir kahin koi nuqsan dekhna

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna In English By Famous Poet Zubair Farooq. Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna is written by Zubair Farooq. Read famous Poem Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna for youth and Student by Zubair Farooq. Free Download Aankhon Mein Hai Basa Hua Tufan Dekhna in PDF.