Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbe84bc6ec6bfec23f089f45ab7979ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki - Zubair Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki

phir ghaDi aa gai aziyyat ki

us ki yaadon ne phir shararat ki

jab khulin gutthiyan haqiqat ki

dhajjiyan uD gain sharafat ki

sach batao kabhi hua aisa

sach batao kabhi shikayat ki

KHud se apna mizaj bhi puchhun

gar mayassar ghaDi ho fursat ki

kitne chehron ke rang zard paDe

aaj sach bol kar himaqat ki

sach se hargiz gurez mat karna

hai agar aarzu shahadat ki

main buzurgon ke sae mein hun 'zubair'

barishen ho rahi hain rahmat ki

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki In English By Famous Poet Zubair Amrohvi. Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki is written by Zubair Amrohvi. Read famous Poem Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki for youth and Student by Zubair Amrohvi. Free Download Phir GhaDi Aa Gai Aziyyat Ki in PDF.