Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_91b1d5815b6bbbcb2c59364b61d35838, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna - Zubair Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna

har ek lamha teri yaad mein basar karna

hamein bhi aa gaya ab KHud ko mo'tabar karna

sada se ek sada aa rahi hai kanon mein

azim kaam hai logon ke dil mein ghar karna

hain yun to ghar mein bhi KHadshat zindagi ko magar

ajib lagta hai is daur mein safar karna

kahin shahadaten paen kahin bane ghazi

har ek marka aata hai hum ko sar karna

wo ek shah jo taDpa watan ki miTTi ko

ilahi aise kisi ko na dar-ba-dar karna

dilon ke farq miTane ki baat kije 'zubair'

idhar ki baat munasib nahin udhar karna

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna In English By Famous Poet Zubair Amrohvi. Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna is written by Zubair Amrohvi. Read famous Poem Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna for youth and Student by Zubair Amrohvi. Free Download Har Ek Lamha Teri Yaad Mein Basar Karna in PDF.