Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b6394a675eda9954e4dd6d1c2fa0887b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya - Zubair Ali Tabish Poetry In English - Darsaal

Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya

wo pas kya zara sa muskura ke baiTh gaya

main is mazaq ko dil se laga ke baiTh gaya

jab us ki bazm mein dar-o-rasan ki baat chali

main jhaT se uTh gaya aur aage aa ke baiTh gaya

daraKHt kaT ke jab thak gaya lakaD-haara

to ek daraKHt ke sae mein ja ke baiTh gaya

tumhaare dar se main kab uThna chahta tha magar

ye mera dil hai ki mujh ko uTha ke baiTh gaya

jo mere waste kursi lagaya karta tha

wo meri kursi se kursi laga ke baiTh gaya

phir us ke baad kai log uTh ke jaane lage

main uTh ke jaane ka nusKHa bata ke baiTh gaya

(5313) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya In English By Famous Poet Zubair Ali Tabish. Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya is written by Zubair Ali Tabish. Read famous Poem Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya for youth and Student by Zubair Ali Tabish. Free Download Wo Pas Kya Zara Sa Muskura Ke BaiTh Gaya in PDF.