Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain
qurbaton ke ye silsile bhi hain
chashm-dar-chashm ratjage bhi hain
jaane wale dinon ke bare mein
aane walon se puchhte bhi hain
baat karne se pahle achchhi tarah
hum bahut der sochte bhi hain
teri KHush-haaliyon ki qamat ko
tere mazi se napte bhi hain
Dubte chand ko dariche mein
chashm-e-pur-nam se dekhte bhi hain
muskurane ke sath yaad rahe
qaus ke rang TuTte bhi hain
sham hote hi bastiyon se dur
sae sayon se bolte bhi hain
teri pahchan kar gai ruswa
lakh bach bach ke hum chale bhi hain
qurbaton ki mahak mahak hai wahi
darmiyan yun to fasle bhi hain
apna chehra gawahi deta hai
rup ki dhup mein jale bhi hain
chand ke sath sath raaton ko
us ke ghar tak 'ziya' gae bhi hain
(1019) Peoples Rate This