Apni Tashhir Kare Ya Mujhe Ruswa Dekhe

apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe

wo mere waste is shahr mein kya kya dekhe

lamha-e-rafta ko aawaz to deti hogi

aaina aaina jab koi wo mujh sa dekhe

sham ki aaKHiri sarhad pe meri tarah koi

apni barbaadi ka KHud hi na tamasha dekhe

apne bachchon ko dua deta hun ye sham o sahar

meri hi tarah ye duniya tumhein hansta dekhe

pesh-e-aina main ab us ko sanwarta dekhun

siDhiyon se jo mujhe roz utarta dekhe

kis ne mangi thi sar-e-sham dua mere liye

aaj ki raat tujhe chand na tanha dekhe

main chala jaun to wo der talak khiDki se

sham ki dhund mein sach-much mera rasta dekhe

mere KHwabon ki sadaqat ko zaban mil jae

subh-dam junhi 'ziya' apna wo chehra dekhe

(1376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Tashhir Kare Ya Mujhe Ruswa Dekhe In English By Famous Poet Ziya Shabnami. Apni Tashhir Kare Ya Mujhe Ruswa Dekhe is written by Ziya Shabnami. Read famous Poem Apni Tashhir Kare Ya Mujhe Ruswa Dekhe for youth and Student by Ziya Shabnami. Free Download Apni Tashhir Kare Ya Mujhe Ruswa Dekhe in PDF.