Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain
isi nadamat se us ke kandhe jhuke hue hain
ki hum chhaDi ka sahaara le kar khaDe hue hain
yahan se jaane ki jaldi kis ko hai tum batao
ki suitcason mein kapDe kis ne rakhe hue hain
kara to lunga ilaqa KHali main laD-jhagaD kar
magar jo us ne dilon pe qabze kiye hue hain
wo KHud parindon ka dana lene gaya hua hai
aur us ke beTe shikar karne gae hue hain
tumhaare dil mein khuli dukanon se lag raha hai
ye ghar yahan par bahut purane bane hue hain
main kaise bawar karaun ja kar ye raushni ko
ki in charaghon pe mere paise lage hue hain
tumhaari duniya mein kitna mushkil hai bach ke chalna
qadam qadam par to aastane bane hue hain
tum in ko chaho to chhoD sakte ho raste mein
ye log waise bhi zindagi se kaTe hue hain
(2835) Peoples Rate This