Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b4ea0cce52559a1a767fec9826af11c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aise Us Hath Se Gire Hum Log - Ziya Mazkoor Poetry In English - Darsaal

Aise Us Hath Se Gire Hum Log

aise us hath se gire hum log

TuTte TuTte bache hum log

apna qissa suna raha hai koi

aur diwar ke bane hum log

wasl ke bhed kholti miTTi

chadaren jhaDte hue hum log

us kabutar ne apni marzi ki

siTiyan marte rahe hum log

puchhne par koi nahin bola

kaise darwaza kholte hum log

hafize ke liye dawa khai

aur bhi bhulne lage hum log

ain mumkin tha lauT aata wo

us ke pichhe nahin gae hum log

(2524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Us Hath Se Gire Hum Log In English By Famous Poet Ziya Mazkoor. Aise Us Hath Se Gire Hum Log is written by Ziya Mazkoor. Read famous Poem Aise Us Hath Se Gire Hum Log for youth and Student by Ziya Mazkoor. Free Download Aise Us Hath Se Gire Hum Log in PDF.