Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_23f6cb982c6d49eeada3332c38b92fc1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair - Zia Zameer Poetry In English - Darsaal

Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair

rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair

zindagi kaise basar hogi mohabbat ke baghair

ab ke ye soch ke bimar paDe hain ki hamein

Thik hona hi nahin teri ayaadat ke baghair

ishq ke maron ko aadab kahan aate hain

tere kuche mein chale aae ijazat ke baghair

hum se puchho to ki hum kaise hain ai ham-watano

apne yaron ke bina apni mohabbat ke baghair

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us ka

ab to ghar bhi nahin chalte hain siyasat ke baghair

aks kis ka ye utar aaya hai aaine mein

kaun ye dekh raha hai mujhe hairat ke baghair

hasil-e-ishq agar kuchh hai to wahshat hai 'ziya'

aur insan mukammal nahin wahshat ke baghair

(1781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair In English By Famous Poet Zia Zameer. Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair is written by Zia Zameer. Read famous Poem Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair in PDF.