Mana Ki Yahan Apni Shanasai Bhi Kam Hai
mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai
par tere yahan rasm-e-pazirai bhi kam hai
han taza gunahon ke liye dil bhi hai betab
aur pichhle gunahon ki saza pai bhi kam hai
kuchh kar-e-jahan jaan ko ziyaada bhi lage hain
kuchh ab ke baras yaad teri aai bhi kam hai
kuchh gham bhi mayassar hamein ab ke hain ziyaada
kuchh ye ki masiha ki masihai bhi kam hai
kuchh zulm o sitam sahne ki aadat bhi hai hum ko
kuchh ye hai ki darbar mein sunwai bhi kam hai
(1392) Peoples Rate This