Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai
jo rishton ki ajab si zimmedari sar pe rakkhi hai
to ab dastar jaisi chiz bhi Thokar pe rakkhi hai
teri yaadon ki pael si khanakti hai mere ghar mein
mere kamre ke andar gunjti hai dar pe rakkhi hai
tumhaare jism ne pahlu-ba-pahlu jis ko likha tha
wo silwaT jyun ki tyun ab bhi mere bistar pe rakkhi hai
tumhaare lams ki KHushbu abhi tak sath hai mere
mere takiye ke niche hai mere bistar pe rakkhi hai
kahan ki be-qarari bekali aur kaisi bechaini
hatheli aap ki jab is dil-e-muztar pe rakkhi hai
ab is aashuftagi mein kya bataen silsila apna
kabhi jo KHandani thi sharafat ghar pe rakkhi hai
kabhi hum us ko dil ka bojh samjhe hain na samjhenge
jo gaThri zimmedari ki hamare sar pe rakkhi hai
(2088) Peoples Rate This