Jis Tarah Pyasa Koi Aab-e-rawan Tak Pahunche
jis tarah pyasa koi aab-e-rawan tak pahunche
DhunDte DhunDte hum is ke makan tak pahunche
shart itni thi mohabbat mein badan tak pahuncho
hum junun-pesha magar yar ki jaan tak pahunche
teri chaukhaT pe palaT aae tere diwane
be-aman yani usi ja-e-aman tak pahunche
chal paDe hain nai tahzib ke raste hum log
pani kab dekhiye KHatre ke nishan tak pahunche
shab ki jagi hui aankhon ki tapish puchhte ho
KHak ho jae agar KHwab yahan tak pahunche
KHair hum to wahin Thahre hain ki bichhDe the jahan
qafile walo batao ki kahan tak pahunche
kasa-e-jism uTha lae tere shahr ke log
aur ye kahne lage KHema-e-jaan tak pahunche
ishq mein ghair yaqini nahin hota kuchh bhi
baat kuchh bhi nahin bas aap guman tak pahunche
(1258) Peoples Rate This