Jaan Ka Dushman Hai Magar Jaan Se Pyara Bhi Hai
jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai
aisa is ahd mein ek shaKHs hamara bhi hai
jagti aankhon ne dekhe hain tere KHwab ai jaan
aur nindon mein tera nam pukara bhi hai
wo bura waqt ki jab sath na ho saya bhi
hum ne hans hans ke kai bar guzara bhi hai
jis ne manjdhaar mein chhoDa use malum nahin
Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi hai
mat luTa dena zamane pe hi sari KHairaat
muntazir hath mein kashkol hamara bhi hai
nam sun kar mera us lab pe tabassum hai 'ziya'
aur palkon pe utar aaya sitara bhi hai
(1427) Peoples Rate This