Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d92fc5bf95ea6310f3d338e407ba410d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum - Zia Zameer Poetry In English - Darsaal

Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum

hanste hanste bhi sogwar hain hum

zindagi kis ke qarz-dar hain hum

ruh par jism ka labaada hai

is liye hi to saya-dar hain hum

us ne dekha kuchh is ada se hamein

hum ye samjhe ki shahkar hain hum

hum ko itna gira paDa na samajh

ai zamane kisi ka pyar hain hum

aaj tak ye samajh nahin aaya

jit hain kis ki kis ki haar hain hum

ho kabhi waqt to ziyarat kar

ai mohabbat tera mazar hain hum

(1544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum In English By Famous Poet Zia Zameer. Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum is written by Zia Zameer. Read famous Poem Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Hanste Hanste Bhi Sogwar Hain Hum in PDF.