Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai
dard ki shaKH pe ek taza samar aa gaya hai
kis ki aamad hai 'ziya' kaun nazar aa gaya hai
jaane kis jurm ki pai hai saza pairon ne
ek safar KHatm pe hai agla safar aa gaya hai
lahr KHud par hai pasheman ki us ki zad mein
nanhe hathon se bana ret ka ghar aa gaya hai
dard bhi sahna tabassum bhi labon par rakhna
marhaba ishq hamein bhi ye hunar aa gaya hai
aa gaya us ki buzurgi ka KHayal aandhi ko
we jo ek rah mein bosida shajar aa gaya hai
us ki aankhon mein nahin pahli si chahat lekin
ye bhi kya kam hai ki we lauT ke ghar aa gaya hai
apni mahrumi pe hone hi laga tha mayus
dekhta kya hun duaon mein asar aa gaya hai
zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe
tujh ko jaana tha kidhar aur kidhar aa gaya hai
haq paraston ke liye sabr ka lamha hai 'ziya'
jhuT ke neze pe sachchai ka sar aa gaya hai
(1414) Peoples Rate This