Dard Ki Dhup Dhale Gham Ke Zamane Jaen
dard ki dhup Dhale gham ke zamane jaen
dekhiye ruh se kab dagh purane jaen
hum ko bas teri hi chaukhaT pe paDe rahna hai
tujh se bichhDen na kisi aur Thikane jaen
apni diwar-e-ana aap hi kar ke mismar
apne ruThon ko chalo aaj manane jaen
jaane kya raaz chhupa hai teri salari mein
tu jahan jae tere pichhe zamane jaen
rahen gumnam to bas tujh se hi mansub rahen
jaane jaen to tere nam se jaane jaen
dekh paenge un aankhon mein udasi kaise
apne dukhDe na 'ziya' un ko sunane jaen
(1406) Peoples Rate This