Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_13ec64c067a30009d1bbda208346a341, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne - Zia Zameer Poetry In English - Darsaal

BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne

baDe saliqe se toDa mera yaqin us ne

ki nam apne hi kar li hai sab zamin us ne

tabah shahr ko pahle kiya phir is ke baad

hamare shahr mein bheje tamash-bin us ne

nibhega kaise talluq samajh nahin aata

ana ki Dor rakhi hai bahut mahin us ne

KHuda bana ke hamein pujne laga tha wo

bahut KHarab kiya hai hamara din us ne

zahin laDki hai wo jis ke ishq mein hum hain

bana diya hai hamein bhi bahut zahin us ne

(1514) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne In English By Famous Poet Zia Zameer. BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne is written by Zia Zameer. Read famous Poem BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne for youth and Student by Zia Zameer. Free Download BaDe Saliqe Se ToDa Mera Yaqin Usne in PDF.