Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_883eb68d28ad47ef66198640fc927c0a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale - Zia Zameer Poetry In English - Darsaal

Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale

ab to aate hain sabhi dil ko dukhane wale

jaane kis rah gae naz uThane wale

ishq mein pahle to bimar bana dete hain

phir palaTte hi nahin rog lagane wale

kya guzarti hai kisi par ye kahan sochte hain

kitne be-dard hain ye ruTh ke jaane wale

karb un ka ki jo foot-path pe karte hain basar

kya samajh paenge ye raj-gharane wale

lakh tawiz bane lakh duaen bhi huin

magar aae hi nahin jo na the aane wale

tu bhi milta hai to matlab se hi ab milta hai

lag gae tujh ko bhi sab rog zamane wale

(2839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale In English By Famous Poet Zia Zameer. Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale is written by Zia Zameer. Read famous Poem Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Ab To Aate Hain Sabhi Dil Ko Dukhane Wale in PDF.