Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_810c0d79b9f9bf170d7f7c1f8fe10328, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai - Zia-ul-Mustafa Turk Poetry In English - Darsaal

Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai

rifaqat ki ye KHwahish kah rahi hai

kai din se wo mujh mein rah rahi hai

pukara hai kuchh aise nam mera

ragon mein raushni si bah rahi hai

tajjub hai ki meri ungliyon mein

teri hathon ki KHushbu rah rahi hai

samajh paya nahin par sun raha hun

wo sargoshi mein kya kya kah rahi hai

teri KHwahish kisi imkan ki surat

hamesha mujh mein tah-dar-tah rahi hai

main us ki chhanw mein hun 'turk' lekin

wo meri dhup kaise sah rahi hai

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai In English By Famous Poet Zia-ul-Mustafa Turk. Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai is written by Zia-ul-Mustafa Turk. Read famous Poem Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai for youth and Student by Zia-ul-Mustafa Turk. Free Download Rifaqat Ki Ye KHwahish Kah Rahi Hai in PDF.