Phir Usi Dhun Mein Usi Dhyan Mein Aa Jata Hun
phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun
tujhe milta hun to ausan mein aa jata hun
be-nishan ho rahun jab tak teri aawaz ke sath
phir kisi lafz sa imkan mein aa jata hun
jism se jaise talluq nahin rahta koi
beshtar dida-e-hairan mein aa jata hun
shaKH-e-gul se jo hawa hath milati hai kahin
isi asna isi dauran mein aa jata hun
tu kisi subh si aangan mein utar aati hai
main kisi dhup sa dalan mein aa jata hun
(1180) Peoples Rate This