Mere Girya Se Na Aazar UThane Se Hua
mere girya se na aazar uThane se hua
fasla tai nai diwar uThane se hua
warna ye qissa bhala KHatm kahan hona tha
dastan se mera kirdar uThane se hua
mahmil-e-naz ki taKHir ka ye sara fasad
rah-e-uftad ko bekar uThane se hua
shaq guzra hai jo ahbab ko wo sadma bhi
bazm mein misra-e-tahdar uThane se hua
yun to mushaf bhi uThae gae qasmen bhi magar
aaKHiri faisla talwar uThane se hua
gham nahin taKHt ko aur baKHt ko kho dene ka
kab mera hona bhi dastar uThane se hua
jagna tha mera hangama-e-hasti ka sabab
hashr barpa bhi digar-bar uThane se hua
gosha-e-bagh hua KHuld guzarne se tere
aaina aks-e-ruKH-e-yar uThane se hua
(1073) Peoples Rate This