Kitne Hi Faisle Kiye Par Kahan Ruk Saka Hun Main

kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main

aaj bhi apne waqt par ghar se nikal paDa hun main

abr se aur dhup se rishta hai ek sa mera

aaine aur charagh ke bich ka fasla hun main

tujh ko chhua to der tak KHud ko hi DhunDta raha

itni si der mein bhala tujh se kahan mila hun main

KHushbu tere wajud ki ghere hue hai aaj bhi

tere labon ka zaiqa bhul nahin saka hun main

aayaton jaise na-gahan jawedan lams ki qasam

tere achhute jism ka pahla mukalima hun main

waise to mera daera pura nahin hua abhi

aisi hi koi qaus thi jis se juDa hua hun main

jitni bhi tez dhup ho shaKHen hain mehrban teri

chhanw parai hi sahi sans to le raha hun main

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Hi Faisle Kiye Par Kahan Ruk Saka Hun Main In English By Famous Poet Zia-ul-Mustafa Turk. Kitne Hi Faisle Kiye Par Kahan Ruk Saka Hun Main is written by Zia-ul-Mustafa Turk. Read famous Poem Kitne Hi Faisle Kiye Par Kahan Ruk Saka Hun Main for youth and Student by Zia-ul-Mustafa Turk. Free Download Kitne Hi Faisle Kiye Par Kahan Ruk Saka Hun Main in PDF.