Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_86999e9abdf929f053c027f23946b2ce, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin - Zia-ul-Mustafa Turk Poetry In English - Darsaal

Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin

dinon mein din the shabon mein shaben paDi hui thin

sabhi kahaniyan ek taq mein paDi hui thin

azan gunji to mehrab mein koi bhi na tha

bas ek rehl pe kuchh aayaten paDi hui thin

sunai deta hai ab bhi muqaddas aag ke gird

wo lahn jis mein kai hairaten paDi hui thin

mujhe nawaza to peshani par likha us ne

wo nam jis mein sabhi nisbaten paDi hui thin

charagh aundhe paDe the zamin par sare

aur un ke pas mein un ki lawen paDi hui thin

na barg-o-bar hi lae na saeban hue 'turk'

hamari shaKHon pe kaisi girhen paDi hui thin

(1093) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin In English By Famous Poet Zia-ul-Mustafa Turk. Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin is written by Zia-ul-Mustafa Turk. Read famous Poem Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin for youth and Student by Zia-ul-Mustafa Turk. Free Download Dinon Mein Din The Shabon Mein Shaben PaDi Hui Thin in PDF.