Charagh-e-kushta Se Qindil Kar Raha Hai Mujhe

charagh-e-kushta se qindil kar raha hai mujhe

wo dast-e-ghaib jo tabdil kar raha hai mujhe

ye mere miTte hue lafz jo damak uThe hain

zarur wo kahin tartil kar raha hai mujhe

main jagte mein kahin ban raha hun az-sar-e-nau

wo apne KHwab mein tashkil kar raha hai mujhe

harim-e-naz aur ek umr baad main lekin

ye iKHtisar jo tafsil kar raha hai mujhe

badan pe taza nishan ban rahe hain jaise koi

mere ghayab mein tahwil kar raha hai mujhe

badal rahe hain mere KHadd-o-KHal 'turk' abhi

musalsal aaina tawil kar raha hai mujhe

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-kushta Se Qindil Kar Raha Hai Mujhe In English By Famous Poet Zia-ul-Mustafa Turk. Charagh-e-kushta Se Qindil Kar Raha Hai Mujhe is written by Zia-ul-Mustafa Turk. Read famous Poem Charagh-e-kushta Se Qindil Kar Raha Hai Mujhe for youth and Student by Zia-ul-Mustafa Turk. Free Download Charagh-e-kushta Se Qindil Kar Raha Hai Mujhe in PDF.