Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8b24ec76005d907820dab14f6a0c732a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein - Zia-ul-Mustafa Turk Poetry In English - Darsaal

Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein

aaine ke aaKHiri izhaar mein

main bhi hun sham-e-abad-asar mein

dekhte hi dekhte gum ho gai

raushni baDhti hui raftar mein

qatra qatra chhat se hi risne lagi

dhup ka rasta na tha diwar mein

apni aankhen hi main bhul aaya kahin

raat itni bhiD thi bazar mein

bar bar aata raha hai tera nam

aaina hoti hui guftar mein

dur tak bichhti chali jati thi nind

KHwab aata hi na tha izhaar mein

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein In English By Famous Poet Zia-ul-Mustafa Turk. Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein is written by Zia-ul-Mustafa Turk. Read famous Poem Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein for youth and Student by Zia-ul-Mustafa Turk. Free Download Aaine Ke AaKHiri Izhaar Mein in PDF.