Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai
main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai
mujhe jis ne bakri bana diya wo to bheDiya koi aur hai
kai sardiyan bhi guzar gain main to us ke kaam na aa saka
main lihaf hun kisi aur ka mujhe oDhta koi aur hai
mujhe chakkaron mein phansa diya mujhe ishq ne to rula diya
main to mang thi kisi aur ki mujhe mangta koi aur hai
main Tanga raha tha munDer par ki kabhi to aaega sehn mein
main tha muntazir kisi aur ka mujhe ghurta koi aur hai
sar-e-bazm mujh ko uTha diya mujhe mar mar liTa diya
mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai
mujhe apni biwi pe faKHr hai mujhe apne sale pe naz hai
nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe DanTta koi aur hai
main to phenT phenT ke phaT gaya main phaTa hua wahi tash hun
mujhe khelta koi aur hai mujhe phenTta koi aur hai
mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya
mujhe lat kha ke hui KHabar mujhe piTta koi aur hai
hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein
ise kaTta koi aur hai ise banTta koi aur hai
jo garajte hon wo baraste hon kabhi aisa hum ne suna nahin
yahan bhunkta koi aur hai yahan kaTta koi aur hai
ajab aadmi hai ye 'qasmi' ise be-qusur hi jaaniye
ye to Dakiya hai janab-e-man ise bhejta koi aur hai
(1934) Peoples Rate This