Jab Bhi Tujhe Dekha Kisi Bohran Mein Dekha

jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha

nisyan mein dekha kabhi hizyan mein dekha

gobhi bhi hai gar phul to bas itna bata de

collar mein kabhi ya kabhi gul-dan mein dekha

aisa na ho babban ko koi chil uchak le

nanga use dekha kabhi banyan mein dekha

biwi ne daba rakkha hai ab TeTua shayad

main ne jo use haal-e-pareshan mein dekha

kahte hain ki laila ka talluq tha arab se

ye rang to africa o makran mein dekha

ras ganne ka pine ko mila KHub hamein bhi

ye faeda dekha hai to yarqan mein dekha

pistol chhupa rakkha tha patlun mein main ne

custam ke sipahi ne jo saman mein dekha

wo chor tha ya aashiq-e-dil-gir kisi ka

diwar pe chaDhte jise dalan mein dekha

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Tujhe Dekha Kisi Bohran Mein Dekha In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Jab Bhi Tujhe Dekha Kisi Bohran Mein Dekha is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Jab Bhi Tujhe Dekha Kisi Bohran Mein Dekha for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Jab Bhi Tujhe Dekha Kisi Bohran Mein Dekha in PDF.