Dil Ke ZaKHmon Pe Wo Marham Jo Lagana Chahe

dil ke zaKHmon pe wo marham jo lagana chahe

wajibaat apne purane wo chukana chahe

meri aankhon ki samundar mein utarne wala

aisa lagta hai mujhe aur rulana chahe

dil ke aangan ki kaDi dhup mein ek doshiza

marmarin bhiga hua jism sikhana chahe

saikDon log the maujud sar-e-sahil-e-shauq

phir bhi wo shoKH mere sath nahana chahe

aaj tak us ne nibhaya nahin wada apna

wo to har taur mere dil ko satana chahe

main ne suljhae hain us shoKH ke gesu akasr

ab isi jal mein mujh ko wo phansana chahe

main to samjha tha faqat zehn ki taKHliq hai wo

wo to sach-much hi mere dil mein samana chahe

us ne phailai hai KHud apni alalat ki KHabar

wo 'ziya' mujh ko bahane se bulana chahe

(1465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke ZaKHmon Pe Wo Marham Jo Lagana Chahe In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Dil Ke ZaKHmon Pe Wo Marham Jo Lagana Chahe is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Dil Ke ZaKHmon Pe Wo Marham Jo Lagana Chahe for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Dil Ke ZaKHmon Pe Wo Marham Jo Lagana Chahe in PDF.