Waqt Katib Hai
waqt katib hai to mistar chehre
jab se tahrir-shanasi meri taqdir hui
wo maani pas-e-alfaz nazar aate hain
jin ko pahchan ke dil Darta hai
aur har chehre se
ek hi chehra ubhar aata hai
jo mera chehra hai
aur imroz ka aaina ye kahta hai ki dekh
aadmi-zade teri umar ki sham aa pahunchi
sar pe ab rakh utar aai hai
barf kanpaTiyon par
sal-ha-sal ke aalam se chehra jaise
waraq-e-KHasta pe pechida lakiron ka hujum
harf-e-ummid-o-raja
dagh-e-girya ki girah mein gum hai
naqsh umangon ke tamannaon ke
dukh ke dhabbon ne daba rakkhe hain
aaj ek umr ke aadarsh ki taswir jo dhundlai hai
us ki tohmat
meri kam-koshi ke sar aai hai
meri KHamoshi ke sar aai hai
lafz zanjir hua
KHauf-e-darban hai tazabzub zindan
zindagi jabr-e-musalsal ke sabab
sar-nigun sayon ka sahra-e-sukut
ab KHarabaat mein KHakistar-e-KHwab
DhunDhti phirti hai hone ka subut
wo bhi the jo inhin dushwar guzargahon se
mishal-e-harf liye parcham-e-himmat thame
apne KHwabon ke taaqub mein rawan
be-KHatar jaan se guzar jate the
main yahan sard salaKHon se laga takta hun
is bayaban mein bhi kuchh KHwabon ke rasiya chehre
parcham-e-harf liye nikle hain
Dar raha hun ki agar jaan se na guzre
to tazabzub ke siyah zindan mein
wo meri tarah pashiman honge
(1409) Peoples Rate This