Tasalsul
bazm-e-KHwahish ke nau-warido
tum nahin jaante
kaise aahista aahista jismon ke andar ragon tak
pahunchte hain patjhaD ke hath
kaise sarma ki sham
Dhanp leti hai kohre ki chadar mein manzar tamam
kaise guzri hui zindagi
dastaken deti rahti hai dil par
magar jab pukaren to ram-KHurda ruya ke manind
duri ki sarhad ke is par aati nahin
kaise bichhDe hue doston ka KHayal
dhundli aankhon mein rahta hai roke hue aansuon ki misal
tum jahan ho wahan phul-rut hai abhi
reshmi KHushbuon mein basi chahatin hain wahan
aur raushan hain aankhon mein duniya badalne ke KHwab
tum hamare shab o roz ke aaine ho
wo chehre tumhaare KHad-o-KHal se jhankte hain
jo muddat hui hum se ek ek kar ke juda ho gae
zamana hua
sar-zamin-e-tamanna pe fasl-e-gul aane ko thi
hum dam-e-subh kaliyan chaTakne ki aawaz ke muntazir the
ki ek sarsarahaT hui
zer-e-shaKH-e-gul-afi ka saya sa ubhra
tum ai tairan-e-na-KHurda-gazand
is se waqif nahin
kaise zaKHmon se behaal thi zindagi
kaise aatish-fishan phaT paDe
kis tarah un ke lawe hain insaniyat bah gai
wo jo ruKHsat hue
jo andheron mein haq ke alam le ke nikle the
zindan se un ke salasil ki aawaz to hum tak aai thi
lekin palaT kar wo aae nahin
hum kahan se kahan aa gae hain magar
ab bhi dastur-e-duniya wahi hai ki tha
jang ka jhuT ka jabr ka jaur ka
ab bhi aalam mein charcha wahi hai ki tha
ai jahan ko badalne ke KHwahan jawano suno
waqt ke chaak par gili miTTi ke manind hai aadmi
hum badalte hain duniya badalti nahin
hum badalte hain lekin ye duniya jo har-dam nai hai badalti nahin
hum ki apni shikaston ki aawaz hain
apne KHwabon pe nadim nahin
is se pahle ki chup-chap aa le tumhein
waqt ka rahzan
jo tumhaare lahu mein tumhaare tanaffus mein ru-posh hai
donon hathon se apni mahakti hui chahaten tham lo
dil ki daulat ko ek dusre par nichhawar karo
aur aankhon mein KHwabon ko raushan rakho
(1543) Peoples Rate This