Subh Se Sham Tak
ek shoKHi-bhari doshiza-e-billor-jamal
jis ke honTon pe hai kaliyon ke tabassum ka nikhaar
seemgun ruKH se uThae hue shab-rang naqab
tez raftar uDati hui kohre ka ghubar
ufuq-e-sharq se iThlati hui aati hai
mast aankhon se barasta hai subuhi ka KHumar
phul se jism pe hai shabnami zartar libas
karwaTen leta hai dil mein use chhune ka KHayal
aankhen malte hue jag uThte hain lakhon ehsas
ye hasina mujhe uksati hui aati hai
naghme gunj uTThe hain pazeb ki jhankar ke sath
nuqrai ungliyan aafaq pe lahraati hain
jism ke loch mein simab ki maujen hain rawan
lahren bahon ki thirakti hui bal khati hain
nachte nachte baDhti hai magar rukti hui
dil ko barmata hai us shoKH ka bharpur shabab
us ki garmi meri sanson se koi dur nahin
farsh-e-maKHmal pe bichhi jati hain us ki nazren
nile aanchal mein damakti hui shaffaf jabin
uTThi mashriq se to maghrib ki taraf jhukti hui
muzmahil chehre ki zardi mein hai ruKHsat ka payam
surmagin aankhon pe jhukne ko hain lambi palken
qurmuzi dhaariyan chhan chhan ke siyah zulfon se
jazb ho jati hain dahke hue ruKHsaron mein
zulfen bikhri hui shanon se Dhalak aai hain
sar jhukae hue munh pher ke KHamoshi se
dur maghrib ke dhundlakon mein chali jati hai
mere dil mein hain sulagti hui yaaden us ki
unhi yaadon se meri ruh jali jati hai
kitni tarikiyan chup chap sarak aai hain
(1331) Peoples Rate This