Harjai
sham lauT aai ghani tariki
ab na aaegi KHabar rahi ki
jagi taron ki har ek rah-guzar
dur uDta nazar aata hai ghubar
aap ki baaten hain kitni phiki
kis ki rah takti ho kaun aane laga
kya tumhein bhi koi bahkane laga
un ki aankhen hain ki KHwabon ka fusun
un ki baaten hain ki ulfat ka junun
aap ko kahe ka gham khane laga
nim-shab nind ke mate tare
rah tak tak ke kisi ki haare
kis qadar sachchi thin un ki baaten
un ke sath aai gai thin raaten
aap ke hath hain ya angare
main bhi samjhi thi use dil ke qarib
meri masum bahan meri raqib
kya kaha aapa nahin chup rahiye
achchha kah Daliye kahiye kahiye
aap ki aankhen hain kis qadr muhib
subh ruk ruk ke sitare Dube
gham na khao ki jo haare Dube
aapa ji bhar ke mujhe rone den
gham ki maujon mein fana hone den
kaun sahil ke sahaare Dube
(1088) Peoples Rate This