Habil
awwalin zaiqa-e-KHun se thi lab-talKH wo KHak
jis pe main TuTi hui shaKH ke manind gira
kin shararon ki dahak dida-e-qabil mein thi
wo hasad tha ki hawas taish ki nafrat kya tha
aur phir mere badan mere lahu mein utra
awwalin be-basi-e-karb-e-fana ka idrak
bujh gai sham-e-nazar miT gae aawaz ke naqsh
bu-e-gul, ju-e-saba, najm-e-sahar kuchh na raha
larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamam
ru-e-jaanan gham-e-jaan dida-e-tar kuchh na raha
nasl-dar-nasl yunhi mere lahu ka pyasa
nar-e-namrud bhi wo naKHwat-e-firaun bhi wo
jam-e-zahrab bhi wo tesha bhi wo dar bhi wo
KHanjar-e-shimr bhi wo tarkash-e-changez bhi wo
asia mein kabhi africa mein KHun-rez bhi wo
aur qabil se irshad kiya tha tu ne
KHun-e-habil ki in zarron se bu aati hai
phail kar ab wahi bu sare jahan par hai muhit
kya ye bu ta-ba-abad mera muqaddar hogi
kya tere izn se qabil ki KHu qaem hai
kya ye KHu ta-ba-abad mera muqaddar hogi
(1159) Peoples Rate This