BaDa Shahr
karachi kisi dew-qad kekDe ki tarah
samundar ke sahil pe panw pasare paDa hai
nasen us ki faulad-o-ahan
badan ret cement patthar
basen Texiyan karen rickshaw ragon mein lahu ki bajae rawan
jism par ja-ba-ja dagh daldal-numa
jahan ankabut apne taron se bunte hain bankon ke jal
ki un mein shumal aur mashriq se aae hue
ishtiha aur KHwabon ke mare magas
phaDphaDate rahen
mustaqil aalam-e-jaan-kani mein rahen
sham hote hi is ki nam-alud aur khurduri khaal se
is ke be-Dhang aaza se
ishwa-faroshon ke pairahanon ki tarah
raushni phuTti hai
ye wo shahr-e-KHud-mutmain hai
jo apne hi dil ki shaqawat pe shaida raha
main chahat ke phulon bhare jangalon se jab aaya
to is shahr ki piTh
majlis ki diwar ki tarah meri taraf thi
main shiddat ki tanhai mein
aashna harf ka aarzu-mand
paiham taghaful se ranjida be-dil
yahan ke rusum aur aadab se be-KHabar
naKHunon se zamin khod kar
aansuon ki nami se use sinch kar
harf kaliyon ki ummid mein
dard bolta raha
kai bar main ne samundar ki bhigi hawaon se puchha
ki ai KHush-nafas rahrawo
tum is tarah begana-wash kyun guzarti ho
pal bhar ruko
koi taskin ka paigham do
aur apna ye amrit sa hath
dukhe dil pe rakh do
pa wo shahr ki sans mein
enginon ke dhuen ki kasafat se afsurda
aankhen churae guzarti rahin
kai bar yun bhi hua hai
ki main aur ye shahr ek mushtarak dukh ki zanjir mein bandh gae
aur mujhe ye guman sa hua
ki ab ajnabiyyat ki diwar girne ko hai
abhi us ki namnak aankhen kahengi ki hum ek hain
lamha-e-dard ka sath sab se baDa sath hai
magar main ne dekha ki is waqt bhi
us ki pathrai aankhon mein
aks-e-shanasai napaid tha
aur ab jab main is shahr se ja raha hun
to is ki daranti si banhon ke dandane
mere rag-o-pai mein utre hue hain
(1457) Peoples Rate This